kabhi saya hai kabhi dhoop muqaddar mera
hota rehta hai yun he qarz barabar mera
toot jatay hain kabhi merae kinaray mujh say
doob jata hai kabhi mujh mein smndar mera
kisi sehra mein bicharr jayen gay sab yaar merae
kisi jungle mein bhatak jayae ga lashkar mera
bawafa tha tou mujahe poochnay walay bhi nah thay
bay wafa hon tou howa naam bhi ghar ghar mera
kitney hanstay huay mousam abhi atay lekin
aik he dhoop nay kamla diya manzar mera
aakhri jarah par kaif ho shayad baqi
ab jo chilka tou chhalak jayae ga saghar mera